Wo jazbon ki tijarat thi ye dil kuch aur samjha tha

wo jazbon ki tijarat thi ye dil kuch aur samjha tha
use hansne ki aadat thi ye dil kuch aur samjha tha


mujhe us ne kaha ao nae dunya basatay hain
use soojhi shararat thi ye dil kuch aur samjha tha

hamesha uski ankhoun me dhanak se rang hote the
ye uski aam si haalat thi ye dil kuch aur samjha tha

wo meeray paas betha dair tak ghazlain meri sunta tha
use khud se muhabbat thi ye dil kuch aur samjha tha