Gham e dill ki wadiyoon main

Gham e dill ki wadiyoon main
yeh khushi ke chand lamhe


inhain jaan lo ghaneemat
ke yeh lamhe kal na hooon ge


abhi chaand hasrtoon ka
lab jaan chamak reha hai


abhi saans hai munawar
abhi dill damak reha hai


abhi dhardkanoo ki aahat
koi geet ga rehi hai


abhi qurbatoon ki lazaat
humain gud guda rehi hai


mager aik din yeh ghardiyaan
yeh haseen pal na hoon ge


inhain jaan lo ghaneemat
ke yeh lamhe kal na hoon ge


tumhain appni jaaan bana ker
tah e dill se main ne chaha


mere saamne hai lakin
yeh ajeeb sa dooraha


kabhi dill khushi se jhoome
kabhi doob dooob jaaye


mere saamne nikhar ker
koi raasta na aaye


mere gham ke yeh maasayil
kisi tarah hal na hoon ge


inhain jaan lo ghaneemat
ke yeh lamhe kal na hoon ge