Bharakain meri pias ko aksar teri aankhen

Bharakain meri pias ko aksar teri aankhen
Sehra mera chehra samandar teri aankhen

Phir bhala kon unhen daad-e-tabassum de ga
Royen gi bahut mujh se bichar ker teri aankhen

Bojhal nazar aati hain bazahir mujhe laken
Khilti hain bahut dil mein utar ker teri aankhen

Ab tak meri yaadon se mitaye nahi mit-ta
Bheegi hoi ek shaam ka manzar teri aankhen

Mumkin ho tu ek taza ghazal aur bhi keh lon
Phir oorh na lein khawab ki chadar teri aankhen

Yoon dekhte rehna usey acha nahi Mohsin
wo kanch ka paikar hai tu pathat teri aankhen