Karb Chehre Se Mah-o-Saal Ko Dhoya Jaye


Karb chehre se mah-o-saal ko dhoya jaye 
Aaj fusat se kahin beth k roya jaye

Phir kisi nazm ki tamhid uthai jaye 
Phir kisi jism ko lafzom mein samoya jaye

Kuch tou ho raat ki sarhad mein utarne ki saza 
Garm sooraj ko samandar mein daboya jaye

Itni jaldi tou badalte nahi hon ge chehre 
Gard aalood hai aainay ko dhoya jaye

Mout se khof zada jeene se bezar hain  log
Is almiye pe hansa jaye k roya jaye