Ye pichlay ishq ki batain hain

Ye pichlay ishq ki batain hain
Jab aankh main khawab damaktay thay 
Jab dil main dagh chamaktay thay 
Jab palkain sher ke rastoon per 
Ashkoon ka noor lutati thi 
Jab sansain ujlay chehroon ki 
Tun mann main phool sajati thi 
Jab chand ki rim jhim kirnoon se 
Sochoon main bhanwaar per jatay thay 
Jab aik tlatum rehta tha 
Apnay be-ant khialoon main 
Har ehd nibhanay ki kasmain 
Khat khoon se likhnay ki rasmain 
Jab aam thi hum dil waloon main 

Ab apni ujri aankhon main 
Jitni roshan se ratain hain 
Us umer ki sab soghatain hain 
Jis umer ke khawab khial hoay 
Ye pichli umer thi beet gai 
Ye umer bitaaye saal hoay 

Ab apni deed ke rastay main 
Kuch rang hai guzray lamhoon ka 
Kuch ashkoon ki baratain hain 
Kuch bhoolay bisray cheray hain 
Kuch yadoon ki barsatain hain 
YE Pichlay Ishq Ki Batain hain