Saghar Sadiqi


==*==Yeh Jo Deewanay Se Do Chaar Nazar Aate Hain..==*==

Yeh Jo Deewanay Se Do Chaar Nazar Aate Hain.. 

In Main Kuch Sahib-e-Israar Nazar Aate Hain.. 




Teri Mehfil Ka Bharam Rakhte Hain So Jatay Hain.. 

Warna Yeh Loag To Bedaar Nazar Aate Hain.. 




Mere Daaman Main To Kanton K Siwa Kuch Bhee Nahin.. 

Aap Phoolon K Kharidaar Nazar Aate Hain.. 




Door Tak Koi Sitara Hai Na Koi Jugnu.. 

Marg-e-Umeed K Aasar Nazar Aate Hain.. 




Kal Jinhein Choo Nahin Sakti Thee Farishton Ki Nazar.. 

Aaj Woh Ronaq-e-Bazaar Nazar Aate Hain.. 




Hashr Main Kon Gawahi Meri De Ga "SAGHAR" 


Sab Tumhare He Tarafdaar Nazar Aate Hain...

----------**********----------

==*==Hai dua yad magar harf-e-dua yad nahin==*==


hai dua yad magar harf-e-dua yad nahin
mere nagmat ko andaz-e-nawa yad nahin

main ne palkon se dar-e-yar pe dastak di hai
main wo sahil hun jise koi sada yad nahin

main ne jin k liye rahon mein bichaya tha lahu
ham se kahte hain wahi ahd-e-wafa yad nahin

kaise bhar ain sar-e-sham kisi ki ankhen
kaise tharrae charagon ki ziya yad nahin

sirf dhundhlai sitaron ki chamak dekhi hai
kab hua kaun hua kis se khafa yad nahin

zindagi jabr-e-musalasal ki tarah katti hai
jane kis jurm ki pai hai saza yad nahin

ao ik sajda karen alam-e-madhoshi mein
kahte hain k "Sagar" ko Khuda yad nahin


----------**********----------



----------**********----------



----------**********----------



----------**********----------



----------**********----------



----------**********----------



----------**********----------