Afat ki shokhiyan hain tumhari nigah main


Afat ki shokhiyan hain tumhari nigah main
Mehshar k fitne khelte hain jalwa-gah main

Wo dushmani se dekhte hain dekhte to hain
Main shad hun k hun to kisi ki nigah main

Ati bat bat mujhe yad bar bar
Kahata hun daur daur k qasid se rah main

Is taubah par hai naz mujhe zahid is qadar
Jo tut kar sharik hun hal-e-tabah main

Mushtaq is ada k bahot dard-mand the
Ae Dag tum to baith gaye ek ah main