Magar ab 'Chaye' peeta hun.


Boht arsa hua ik din Bataya tha mujhe US ne. 
Banana kuch nahi aata! 
Agar Main kuch banati hun To bus "Chaye" banati hun. 
Peeo ge na ? 
0r Main is baat par muskurata hi raha tha! 
K banana kuch nahi aata Banati ho to bus "Chaye". 
Mujhe "Chaye" se uljhan hai Nahi peeta Nahi peeta. 
0r ab is baat ko guzre zamaney ho gaye kitne. 
Nahi maloom mujko k Wo kesi hai ? Kahan pe hai ? 
Magar ab 'Chaye' peeta hun. 
Barri kasrat se peeta hun. 
Barri hasrat se peeta hun..!!

Suna Hai Log Usay Aankh Bhar K Dekhtay Hain

Suna Hai Log Usay Aankh Bhar K Dekhtay Hain
So Us K Shehr Main Kuch Din Thehr K Dekhtay Hain

Suna Hai Rabt Hai Usko Kharab Haalon Se
So Apnay Ap Ko Barbaad Kar K Dekhtay Hain

Suna Hai Dard Ki Gahak Hai Chashm'e'Naz Uski
So Hum B Uski Gali SE Guzar K Dekhtay Hain

Suna Hai Usko Bhi Hai Shair'o'Shairi Se Shaghaf
So Hum Bhi Mojzay Apnay Hunar K Dekhtay Hain

Suna Hai Bolay To Baaton se Phool Jhartay Hain
Ye Baat Hai To Chalo Baat Kar K Dekhtay Hain

Suna Hai Raat Usay Chaand Takta Rehta Hai
Sitaray Baam'e'Falak Se Utar K Dekhtay Hain

Suna Hai Hashr Hain Uski Ghazaal Si Aankhen
Suna Hai Usko Hirann Dasht Bhar K Dekhtay Hain

Suna Hai Din Ko Usay Titliyan Satati Hain
Suna Hai Raat Ko Jugnu Thehr K Dekhtay Hain

Suna Hai Raat Se Bharh Kar Hain Kakulain Uski
Suna Hai Shaam Ko Sayee Guzar K Dekhtay Hain

Suna Hai Uski Siyah Chashmagi Qayamat Hai
So Usko Surma Faroosh Aah Bhar K Dekhtay Hain

Suna Hai Uskay Laboon Se Gulaab Jaltay Hain
So Hum Bahaar Par Ilzaam Dhar K Dekhtay Hain

Suna Hai Aaina Tamsaal Hai Jabeen Uski
Jo Sadaa Dil Hain Usay Ban Sanwar K Dekhtay Hain

Suna Hai Chashm'e'Tasawur Se Dasht'e'Imkaan Main
Palang Zawiye Uski Kamar K Dekhtay Hain

Suna Hai Uskay Badan K Tarash Aisay Hain
K Phool Apni Qubain Qatar K Dekhtay Hain

Wo Sar'o'Qad Hai Magar Be-Gul'e'Muraad Nahi
K Us Shajar Pe Shagofay Samar K Dekhtay Hain

Bas Ik Nigaah Se Lut'ta Hai Qafila Dil Ka
So Rah Rawa'e'Tamanna Bhi Dar K Dekhtay Hain

Suna Hai Uskay Shabistaan Se Moutasil Hai Behisht
Makeen Udhar K Bhi Jalway Idhar K Dekhtay Hain

Rukay To Gardishain Uska Tawaaf Karti Hain
Chalay To Usko Zamanay Thehr K Dekhtay Hain

Kisay Naseeb K Be Pair'han Usay Dekhay
Kabhi Kabhi Dar'o'Deewar Ghar K Dekhtay Hain

Kahaniyan Hio Sahi Sab Mubalaghay Hi Sahi
Agar Wo Khawab Hai Tabeer Kar K Dekhtay Hain

Ab Uskay Shehr MAin Therain K Kouch Kar Jain ?
FARAZ Ao Sitaray Safar K Dekhtay Hain

Chupke Chupke Raat Din , Aansu Bahana Yaad Hai

Chupke Chupke Raat Din , Aansu Bahana Yaad Hai
Hum Ko Ab Tak Aashiqui Ka Wo Zamana Yaad Hai

Tujh Se Mil Kay Hi Wo Kuch , Bebaak Ho Jana Mera
Aur Tera Danton Main Wo Ungli Dabana Yaad Hai

Chupke Chupke Raat Din , Aansu Bahana Yaad Hai
Hum Ko Ab Tak Aashiqui Ka Wo Zamana Yaad Hai

Chori Chori Hum Se Tum Aa Kar Milay Thay Jis Jaga
Mud'datain Guzri Par Ab Tak Wo Thikana Yaad Hai

Kheench Lena Wo Mera Parday Ka Kona Daf'atan
Aur Dopatay Se Tera Wo Munh Chhupana Yaad Hai

Do'Pehr Ki Dhoop Main Mere Bulanay K Liye
Wo Tera Kothay Pay Nange Paon Ana Yaad Hai

Ba'Hazaran Iztarab O Sad'Hazaran Ishtiaq
Tujh Se Wo Pehle Pehal Dil Ka Lagana Yaad Hai


BeRukhi K Sath Sun'na Dard'e'Dil Ki Daastan
Wo Kalai Main Tera Kangan Ghumana Yaad Hai

Aa Gya Gar Vasl Ki Shab Bhi Kahin Zikr'e'Firaaq
Wo Tera Roo Roo K Mujh Ko B Rulana Yaad Hai

Kyoun Bhool Gaye Hum Ko Rishta To Purana Tha.


Kyoun Bhool Gaye Hum Ko Rishta To Purana Tha.
Aik Yeh Bhi Zamana Hai Aik Woh Bhi Zamana Tha.

Rangeen Fizayein Thi Shokh Adayein Thi.
Jazbon Ki Jawani Thi Mosam Bhi Sohana Tha.


Seene Se Lagaya Tha Ankhon Pe Bithaya Tha.
Maloom Na Tha Tumne Yoon Chhor Ke Jana Tha.

Kyoun Humse Khafa Ho Tum Kyoun Humse Juda Ho Tum.
Kya Jurm Hua Humse Itna To Batana Tha.

Nafrat Se Bhari Nazrein Aik Jaan Hi Le Bethi.
Tukre Bhi Kiye Dil Ke Kya Khoob Nishana Tha.

Judaai K Mosam Main


Judaai k Mosam main,
Utarti Shaam se Pehly,

Meri Yakh-Basta Aankhon main,
Khaamoshi Raqs karti hai,

To Usski Yaad ki Payal,
Yoon Mery Kaan main Aa kar,

Mussalsal Chanchhanati hai,
To Phir Yak-Dam Khaamoshi ka,

"Tassalsul" Toot jata hai,
Phir aisey mein koi "Koyal",

Barry hi Qarb se Kooky,
To yoon Mehsoos hota hai,
k jaise Be-Sabab koi,

Kissi ko "Yaad" karta hy.
Kissi ko "Yaad" karta hy...