Us k Labon pe raat kahani ghazab ki thi

Us k Labon pe raat kahani ghazab ki thi
Jazbat beh rahay thay rawani ghazab ki thi

Raja b la-jawab tha wadi-e-ishq ka
Lekin diyar-e-husn ki rani ghazab ki thi

Kya kya na shaam aai meri umar me magar
Guzri jo tere saath suhani ghazab ki thi

Dekhi hai mainay shehr me charrti jawaniyan
Lekin jo tuj pe aai jawani ghzab ki thi

Main ek umar tak Likhta rha dastan-e-gham
Jo tum ne sunai kaL shab wo kahani ghzab ki thi..