Un k andaz-e-Karam un pe woh aana DIL ka

Un k andaz-e-Karam un pe woh aana DIL ka

Hai woh waqt, woh baatein, woh zamana DIL ka

Naa suna uss ne tawajo se fasana DIL ka
Umar guzri par dard na jana DIL ka

Dil Lagi, Dil ki lagi ban k mita daiti hai
Rog dushman ko bi ya Rub, Naa Lagana Dil ka

Woh bi apne na hoye Dil bi gaya hathon se 
Aise aane se tou behtar hai na aana Dil ka

Un ki Mehfil mein "ZEESHAN" un k tabassum ki Qasam 
Hum daikte Reh gaye haath se jana DIL ka